Sunsaan kala raasta..
Tezi se jaate hum
Band hoti aankhen
Aur shareer se pal pal nikalta dum..
Raaste ke aas paas kharhe log..
Sab jaane pehchaane..
Kisi waqt saath hua karte the
Ab parlok mein the unke thikaane..
dekhkar waapis murhna chaha
darr se main ghabraa gaya
khud ko rokne ki koshish ki
par iik roshni ki ore main khichtaa chala gaya..
zindagi ki dor ko haathon se choot te paya
sab sapno ko..mere apno ko maine bikharta paya
saanson ki larhi ko ek ek karke toot ta paya
mere apno ki pukaar ko mere kano se dheere dheere door hota paya
koi himmat,koi zor kaam nahi aata..
koi dua,koi ashirwaad kaam nahi aata..
antim samay mein insaan ka dharm kaam nahi aata
meri khudaayi ne jab mera raasta roka..
tab hosh aayi aur aansuon se bhara ikk manzar jo paya
rote hue log,shok aur tanhayi..
main hairaan,pareshaan..ankhen khuli,khud ko gumsum sa paya
zindagi ki dhoop chaon bhi manzoor hai ab..
bas door rahe mujhse ye MAUT ka kala saya..