Uss din der se jagaaya tha maa ne..
Taan ki parhne ke liye bhaag bhaag ke jaauu..
Der hogayi thi isliye bina kuch khaaye hi nikal gaya..
Ab yaad aata hai..maa ne roka bhi nahi tha..
Baste mein khaane ka dibba gayab.
Mote larhke ne liya ya mujhse gir gaya ?
Dhoondte dhoondte khaane ka samay bhi nikal gaya..
Ab yaad aata hai..maa ne dibba rakha hi nahi tha..
Jeb mein paise nahi rakhe maa ne..
Bhool gayi ya mujhse gum gaye ?
Sochta raha..aur jalebi wala chalaa gaya..
Ab yaad ataa hai..maa ne paise diye hi nahi the..
Ghar waapis aaya toh koi nahi tha..
Bachpan ki masoomiyat kaho ya anjaanapan ?
Bhook se tang jab kuch nahi mila, toh aansuon se pet bhar liya..
Ab yaad aata hai..ghar pe koi kyun nahi tha..
Maa chupti rahi aur mujhse chupaati rahi.
Uss kachi umar mein maine khud ko majboor payaa.
Chanchal dil ab gumsum tha..
Das saal ke mann ko maine bees ke dimag se samjhaya..
Maa raat ko rasoi mein kitni der tak kaam karti rahi.
Main jaanta tha wo chupa rahi hain..
Aur khaane ko kuch nahi hai..
Main so gaya..par shareer ki kamzori ko haraa na sakaa.
Bachpan ki uss bhookh ko chupaa na sakaa..
Khabar thi ke wo jawaab nahi de sakengi.
Shayad ro dengi aur mujhse nazaren mila na sakengi..
Sharminda nahi karna chahta tha main unhe..
Samajhta tha main unki takleef ko,ye batana tha unhe..
Par…Nahi rok paya main khud ko,aur gala bhar aaya
Na chahte hue bhi mere muh se ye nikal hi gaya….
“Maa…khaana ?”